Facebook Friend Nisha Ki Jawani
Hello Dosto, kese ho aap sab! Main apka dost Ajay ab fir se apni ek kahani le kar pesh hoon. Mujhe ye jaan kar bahot khushi hui ki apne meri pichli kahani ‘Main aur meri pyari student’ ko bahot saraha hai. Dosto main Delhi me rehta hoon.
Toh dosto, ab main fir se ek aur kahani le kar aaya hoon jisko sun kar aapko bhi bahot maja aayega.
Dosto, ye kahani main kuch deri se de rha hoon kyoki main apni life me bahot busy tha aur ab jab thoda free hua hoon toh socha ki ek kahani apni nayi ghatna ko uthate hue likh hi daalu taaki apko bhi mujhse aise hi kahania milti rhe aur mujhe apse payar.
Dosto, ab kahani par aate hain.
Dosto ye baat tab ki hai jab main free reh kar Facebook par time paas karta rha aur masti marta tha. Ek din ki baat hai main aise hi Facebook par betha tha aur mujhe ek ladki ka account mila jisko dekhte hi mujhe usse baat karne ko tadap hui.
Us ladki ka naam Facebook account par Nisha ke naam se tha aur usne apni DP lgayi hui thi. Main uski DP Ko open karke ek takk usse dekhta hi rha. Wo bahot sundar lag rhi thi fir maine usse friend request bheji di.
Main apni request accept dekhne ke liye humesha net on rakhta tha taki jese hi friend request accept ki notification aaye main usse baat kar pau. Ye kahani aap desi kahani dot net par padh rhe hai.
Mere 2 din intezar karne ke baad friend request accepted ka notification aya aur sath mere paas aya.
Nisha – Kya hum ek dusre ko jante hai ?
Main – Nhi, par ek dusre ko jaan sakte hai.
Nisha – Main married hoon.
Main – Toh kya hua, married ho toh iska matlab ye toh nhi ki aap friend bhi nhi bna sakte!!
Nisha ne ek smiley ka face send kiya aur ‘Hi’ bola.
Uski taraf se ab han thi isliye main aur wo ek dusre se khoob baate marne lag gye aur hum aise hi daily ek dusre se baat karte the.
Wo mujhse din me apne ghar ke kaam khatam karte baat karti thi kyoki din me uske pati bhi office chale jaate the aur wo ghar par borr hoti thi.
Ek din baato – baato me Nisha ne mujhse pucha – Ajay kya tum din me free hote ho ?
Main – Han mostly free hi hota hoon.
Nisha- Agar tum bura na maano toh hum movie dekhne chal sakte hai ?
Kyoki main ghar par akeli bor ho jati hoon.
Main – Isme bura manne ki kya baat hai? Hum jarur jayenge movie dekhne.
Nisha- Okay thanks.
Fir humne agle din milne ka plan bnaya aur cinema hall ke bahar subah 11 bje pahonche ko kha. Humne sirf Facebook par hi baate ki thi aur vahi par hi ek dusre ki pics dekhi thi.
Par ab hum ek dusre ko reality me dekhenge.
Fir us din baat khatam kar ke hum agle din subah 11 bje cinema hall pahonch gye. Main 10:30 hi vaha aa gya tha aur uska wait karne lag gya tha.
Wo karib 10 minute pehle mere samne chalte hue aa rhi thi aur usse dekhte hi meri ankhe fati ki fati reh gyi kyoki maine usse zindgi me pehli baar dekha tha aur wo dikhne me bahot sundar lag rhi thi.
Usne mujhe ek hi pal me pehchan liya aur mere bina kisi ishare se mere paas aa kar khadi ho gyi aur boli – Hello.
Main bhi usse ‘Hello’ kha aur usse dekhta hi reh gya, fir humne movie ticket li aur cinema hall me aa kar apni seat par beth gye.
Hall me pura andhera tha aur movie bhi abhi start hui thi. Hall me A.C bahot tej chal rha tha jisse mujhe thand lg rhi thi.
Main – Nisha, mujhe bahot thand lag rhi kyoki A.c bahot tej chal rha hai.
Nisha- Lo meri chunni me apne hath samalo thik ho jayega.
Maine aise hi kiya aur hum movie dekhne lag gye.
Movie dekhte – dekhte movie me ek Rumani scene aaya jisko dekhte main garam ho gya aur Nisha bhi garam ho gyi. Maine achanak hi uske hath par apna hath rakha jiske rakhte hi mujhe ehsas hua ki Nisha ke andar bhi aag lgi hui hai.
Usne bhi mera hath apne hath se nhi htaya toh main samjh gya ki wo mujhe kuch nhi kahegi.
Maine movie dekhte hue hi uske hatho ko apne hatho me jakad liya aur hum movie dekhne lag gye.
Fir kuch der baad aise hi ek aur Rumani scene aaya jis par maine apna hath uske kandhe par rakh diya aur usne apni garden mere kandhe par rakh kar movie dekhne lag gyi.
Hum dono itne garam ho chuke the ki humara dhyan movie me ja hi nhi rha tha isliye maine Nisha se kha- Hum lunch karne chalenge.
Nisha – Thik hai.
Mere mind me idea aaya aur bola – Nisha kyo na hum lunch mere ghar par karte hai, mera ghar paas me hi hai.
Nisha – Tumhare dost honge vaha toh.
Main – Nhi Nisha main akela rehta hoon, tum btao chalogi mere ghar!!
Comments