Preeti Ki Khwahish – Part I

Vicky 2014-09-26 Comments

Maine use laalach diya aur wo maan gaya, maine apne manager se baat karke bataa diya tha ki ashok ek culprit hai aur use pakadne ke liye mujhe drama karna padega, mere manager ne mujhe ijazat de di thi, ab mujhe bas wait karna tha kuch time ke liye, Is doraan main ashok ke saath zada ghul-mil gaya aur use friend ki tarah treat karne laga, ab ashok ko mujh par pura vishwaas tha ki main bhi usi ki tarah kamina hoon, fir do hafte baad maine use kuch paise aur documents diye jinme wo aasani se ghapla kar sakta tha, Jese hi usne ye kaand kiya maine police me complaint karke use arrest karwa diya, usne mujhpe bhi ilzaam lagane ki koshish ki to maine uski wahi recording (edit karke jisme se maine preeti ki baaton ko remove kar diya tha) police ko de diya, aakhir me usne apni galti maan hi li aur use saza ho gayi, jis din use saza hui uske dusre hi din preeti mere office me mujhe thanks kehne aai, maine usse kaha ki, “thank you kehne ki zaroorat nahin mujhe bas bura laga tha ki wo kis tarah tumhe use kar raha tha”, meri ye baat sun ne ke baad wo udaas ho gayi to maine kaha.

Kamaal hai yaar, tumhe to ab khush hona chahiye ki wo chala gaya, aur tum ab bhi udaas ho, agar zada miss kar rahi ho use to tumhe bhi uske paas jail me bhijwa doon, maine mazaak karte hue kaha, usne banawati hansi hanste hue kaha, “sir aap nahi jaan sakte ki ek ladki ke uski izzat kya hoti hai, mujhe khud se ghin aati hai ye soch kar ki mere saath ye kya ho gaya, koi insaan itna niche kese gir sakta hai ki kisi ke jism ko paane ke liye itni badi saazish rache, mujhe aisa lag raha hai ki mere saath rape kiya gaya ho, mann to kar raha hai ki suicide kar loon” itna keh kar wo rone lagi, fir maine kaha, “dekho preeti, tum sach keti ho ki main tumhara dard nahi samajh sakta, ye bhi sach hai ki us insaan ne tumhe use kiya, par tum khud se pucho ki agar tum jo keh rahi ho sach me aisa karogi to uska kya jaayega, par tumhari family kharaab ho jaayegi, yumhe to jeena chahiye aur bhagwaan ko thanks kehna chahiye ki usne tumhe is problem se nikaal diya”, “aap theek keh rahe ho sir, par itna aasaan nahi hota”, preeti boli, “aasan kuch bhi nahi hota preeti sab kuch karne se hi hota hai, apni problem ko solve karne se hi wo solve hoti hain, warna wo pareshaan karti rahengi” maine kaha, aise hi kuch der hum baat karte rahe aur fir wo kaafi achha mehsoos karne lagi, aur fir wo uthkar mere cabin se baahar chali gayi. Padhte rahiye kyoki kahani abhi jaari rahegi, meri mail id hai “[email protected]”. Kahani padhne ke baad apne vichar niche comments me jarur likhe, taaki hum apke liye roz aur behtar kamuk kahaniyan pesh kar sake – DK

What did you think of this story??

Comments

Scroll To Top