Zindagi, Ek Anokha Safar – Episode 3

contents.dk 2018-03-19 Comments

This story is part of a series:

Karan – Chalo chodo, wese ye college mere mama ka hai.

Aarif – Fir toh maja hi aa jayega bhai.

Karan – Par main whan kisi ko bina phuchan bataye jana chahta hoon.

Aarif – Sab apne aap ko dkhana chahate hai ki uski aukat kitni hai. Sab tip top rhena chahte hai aur tu hai ki simple rehna chahta hai. Mujhe toh lagta hai ki tujhe mere mummy ka beta hona chayie tha.

Karan – Kuch soch kar faisla liya hai maine bhai.

Aarif – Kya acha hoga bhai kal ranging hogi toh kya hoga. Kyoki tum apni pehchan chipa rhe ho bhai.

Karan – Ranging ki tension mat le ab meri baat dhayan se sun kal tu college me main Aarif ban kar jaunga aur tu karan ban kar jayega.

Aarif – Ye kya hai main kuch samjha nhi.

Karan – Matalb main Aarif aur tu Karan Thakur ban kar jayega samjha.

Aarif – Thik hai bhai main samjh gya. Ab aayega asli maja.

Aarif ki mummy kab se un dono ki baten sun rhi thi. Fir wo boli – Ye aise idea tumhare dimag me aate khan se hai.

Aarif – Main nhi mummy ye sochta hai.

Aarif mummy – Tabhi toh main Karan ko sabse jyada pyar karti hoon.

Karan – Par mere naam mat duba dena. Mera naam sirf kuch dino ke liye aur teri ranging se bache ke liye hai samjha. Baki kamo ke liye tu Aarif hi bana rehaga samjha.

Aarif mummy – Kya baki ke kamo ke liye ?

Karan Kuch nhi, tabhi Aarif ka phone bajta hai. Aarif phone pik karta hai aur bola.

Aarif – Bs main bahi aaya. Haan bhai pehle phone toh rkho tabhi main aaunga naa.

Aarif mummy – Kon tha phone par.

Aarif – Are mummy dost tha, wo road par aaya hai mujhe jaldi jana padega. Karan yaar tu bhi mere sath chal na.

Karan – Haan chal main bhi chalta hoon tere sath.

To be continued.. Like, share and comment for more!

What did you think of this story??

Comments

Scroll To Top