Jeena Isi Ka Naam Hai

Akash 2013-10-11 Comments

Kehte hain ki waqt se badi taqat is duniya mein aur koi nahi hain. waqt ke aage badi se badi chattan bhi jhuk jati hai to insaan kya cheez hain.jo insaan agar waqt ka kadra karta hain wo hi insaan duniya mein apna wajood kayam rakh pata hain. ek bar jo waqt nikal gaya wo kabhi wapas nahi aata magar kuch naseeb wale insaano ko hi waqt aur kismat dono milti hain. aur wo hi insaan safalta ke bulaandiyon ko chute hain. magar kuch aise bhi insaan hai jo waqt ke hathon majboor aur kathputlati matra bankar reh jate hain.aisa hi kuch mere saath bhi hua tha. main bhi waqt ke hathon ek khilona bankar bus rah gaya.

Main ACP Rahul malhotra aaj waqt ka sataya hua ek insaan jo waqt ke hathon ek khilona ke siwa aur kuch bhi nahi hai. Kehne ko to main ACP hoon magar aaj mere paas sab kuch hokar bhi kuch nahi hain. aaj mere paas bangla, gadi , naukar chakar sab kuch hai jo ek sampann parivaar mein hona chahiye ya usse bhi jyada .magar aaj na hi mere paas maa hai aur na hi baap.na koi bhai na koi behan. main aaj tanha hoon bilkul akela.na koi aage na koi peeche.Bachpan mein mere maa baap ka road accident mein death ho gaya tha. jab main matra 10 saal ka tha. abhi maine is duniye ke baare mein jana hi kaha tha ki meri duniya hi ujaad gayi.

Bachpaan se hi meri life struggle rahi hain. mere pitaji kaha karte they ki kabhi kisi par depend mat raho aur time is money. maine unke hi adarshon par chalkar aaj khud apni kadi lagan aur mehant ke bal par aaj apne aap ko is kabil banaya hai ki aaj meri khud ek hasti aur wajood hain. maine apni padai complete karne ke baad mujhe police ki naukari mili aur maine police ki naukari join kar li. Magar yaha bhi meri badkismati ne mera saath nahi choda meri zindagi mein bhi khusiyon ke phool khile magar waqt ne mujhse wo khushi bhi cheen li. ji haan meri khushi, mera pyaar, meri tadap, meri zindagi sab kuch wo jisne mujhe jeena sikhaya , pyaar kya hota hain bataya. magar aaj mere paas wo pyaar bhi nahi hai. waqt ne mujhse sab kuch cheen liya.aaj main yehi sochta hoon ki main zinda hoon bhi to sirf ek laash bankar reh gaya hoon. ab na hi mere jeene ki koi wajah hai na hi koi Manzil. ek meri manzil thi aaj wo bhi nahi hai ji haan wo naam jise main yaad karke pal pal marta hoon, wo naam jo meri rooh mein meri har saans mein aaj bhi zinda hai wo naam hain Radhika Sharma.

Wo radhika jise paakar mujhe manzil mil gayi thi, mujhe jeene ki wajah mil gayi thi. magar aaj bhi wo zinda hain meri har rome rome mein, mere ragon mein lahoo bankar . meri har saans mein meri dhadkan mein. main use kabhi bhula nahi sakta. khair jo hua wo waqt to wapas aa nahi sakta .aaj bhi wo pal yaad aate hi mere ankoon se ansoonwon ka ek sailab umad padta hai. baat tab ki hai
19-sep-2010

Aaj ke hi din mera appointment hua tha. aaj main bahut khus hoon. mujhe meri kadi mehnat aur lagan ke badulat aaj aapne aap ko is kabil banaya ki aaj agar mere pitaji zinda hote to aaj wo apna seena taan kar khade hote. maine shapath liya ki na hi main atyachaar sahunga aur na hi atyachar hone dunga. main apni naukari puri imandari aur kartavya se poora karunga. aaj meri naukari karte lagbhag ek saal ho chuka hai. itne dino mein maine kai typical cases bhi handle kiya hain. aur bahut se mujrimo ko jail ke salakhon ke peeche bhi dhakela hain. aaj bade bade mujrim mere naam se kaapte hain. aise hi mera din aaram se kat raha tha ki ek din main duty par tha aur kisi kaam se office ja raha tha. raste mein maine apni police jeep ek college cantene ke samne khadi kar di. aur mera constable Veer singh bhi mere saath tha.hum dono un hi hansi mazak kar rahe they ki samne se do ladki aati hui dikahyi di. kasam se kehta hoon maine aaj tak aisi sunder ladki kabhi nahi dekhi thi. gora rang 5.4 inch height, bahut sunder nayan, gulabi lips, aur figure to film actress bhi uske saame fiki pad jaye. aur uski saheli bhi bilkul waisi hi thi. gora rang lagbhag same height. almost sab same. par chehra dono ka bahut masoom tha.

hum dono bhi college cantene ke paas baithe they itne mein teen badmash college ke main gate se aate hue deekhayi diye. unki nazar jab un dono ladki par padi to un teeno ke bhi hosh udd gaye. ek gunda unka leader tha jagga. uska kaam hi tha roj roj ladai , mara piti, ched chaad koi usse panga bhi nahi leta tha. gandi surat, kala jism aur mooh mein paan chabate hue wo samne ke main gate par khada ho gaya aur un dono ladkiyon ka intezar karne laga.

Jagga- Yaar dekh to kasam se kya chidiya hai. sali pehle to nahi dekha isko. lagta hain nayi aayi hain. jo bhi hain kasam se pataka hai.
itna sunte hi jaaga ka dost ramu bol padta hain

Comments

Scroll To Top