Jeena Isi Ka Naam Hai

Akash 2013-10-11 Comments

Ramu- Are jaaga bhai is ladki se panga mat lo yaar.
Jagga- Kyon be kahin ki maharani hai kya.
Ramu- are maharani se bhi badhkar hai yaar .ye sali atom bomb hai. jab ye fategi to tera bhi pata nahi chalega. yaad hain na manish naam ka ladka. are usne ise chedney ki galti kar di thi bus fir kya tha sali ne uska aisa band bajaya ki bechara isko aankh utakar bhi dekhna to door isko door se dekhte hi wo apna rasta badal deta hain. aur kabhi sanjog se wo samne aa jaye to puch mat yaar lagta hai sala pant mein su-su kar dega.

Jagga- Aisa kya,! lagta hai ye to tikhi mirch hain. aur tu to janta hai ki mujhe tikhi cheez kitna pasand hain.
jagga ka dusra dost shyam- ha yaar ramu theek hi to keh raha hai kyon is ladki se bewajah panga le raha hain. tujhe chedna hi hai na tu chal na koi aur ladki ko chedtey hain.

Jagga- Itna sunte hi jagga ka para garam ho jata hain. aur kehta hai sale tum dono is ladki se dar gaye sale na-mardo kahin ke. dekh ab main kaise akele hi in dono ko sabak sikhata hoon. tum log bus tamasha dekhte jao. dekhna aaj jaaga kaise in do take ki laundiyon ko apne neeche lata hai…. itna kehkar jaaga unke taraf chal padta hai. jagga ko samne se aata dekhkar nisha ghabara jati hai aur apni saheli se kehti hai…..

Nisha- radhika yaar please chal na kahin aur chalte hain mera mann nahi kar raha hai is cantene mein jaa ne ka.
Radhika- Yar tu bhi ajeeb hai itne deer se keh rahi hai mujhe bhook lag rahi hai aur ab canteen aa gaya to keh rahi hai kahin aur chalte hain.

Nisha- Baat ye hai na ki wo gunda jaaga dekh hamare hi taraf aa raha hai. tu usko nahin janti ek number ka lafanga aur badmaash hai. aaye din har ladki ko chedta rehta hain.

Radhika- bus itni si baat hai. tu bhi is do take ke gunde se ghabraa gayi. tu chinta mat kar agar wo humse panga lega to sala bahut pitega.

Nisha- are tu nahin janti is se koi panga nahi leta. bahut khatarnak hai ye. main to kehti hoon agar ye kuch bole to bus tu chup chaap nikal jana. bus kuch bolna nahi .

Tabhi jagga unke kareeb aa jata hai…………….

Jagga- Kyon re chidiya tera naam kya hai.
Radhika- aapse matlab. aap kaun hote hain puchane wale.

Jagga- are e sali ,e to humse hi sawal kar rahi hain. tu janti nahi hain ladki hum kaun hain. naam hai jagga. naam tu tumne suna hi hoga.

Radhika- Kyon koi film actor ho kya jo tumhara naam suna hai. tum jaise do take ke aadmi se humein koi baat nahi karni. jaao apna rasta napo. itna sunte hi jaaga ka para garam ho jata hai.

Jagga- tu janti nahi humko main is area ka dada hoon sab log mujhe salam karte hain. agar jo puch raha hoon chup chaap bata de nahi to ……………… itna bolte hi jagga chup ho jata hai,

Radhika- Nahi to kya…………… kya kar loge. radhika gusse se usko dekhkar bolti hain.
Jagga- Tujhe yahin beech sadak par nanga karke ghumaunga. itna sunte hi nisha darr se saham jati hain aur radhika ko dhere se bolti hain.

Nisha- Are radhika kyon baat ko bada rahi hain. jane de na aise logon se humein panga nahi lena chahiye.

Radhika- thik hai nisha isko bol de ke ye mujhse mafi maang le. main yahi par baat khatam kar deti hoon. itna sunte hi jagga zor zor se hanse lagta hain.

Jagga- maffi aur wo bhi is chori se. are meri chidiya agar tu meri baat maan le tu main tujhe rani banakar rakhuga. phir tujhe koi bhi aankh utha kar nahi dekhega.

Nisha- dekhiye please humein jane dijiye. radhika ke taraf se main aapse mafi mangti hoon.

Jagga- are meri chidiya tu kya samajhti hai ki tere mafi mange se main tum dono ko jaane de dunga kya. agar ise main apni rani banaunga to tujhe apni rakhail……..

Radhika- Dekhiya mr. jagga ji aap apni hadd se aage badh rahe hai. aap apne aukaat mein rehkar baat kijiye. warna anjaam bura hoga.
Jagga- Accha to tu bataiyegi mujhe meri aukaat. dekhhu tu zara main bhi to ki tu mera kya bagad legi.

Itna sunte hi radhika ka chehra gusse se laal ho jata hai aur wo ek call karti hain. radhika ko call karte dekh kar jagga zor zor se hanse lagta hai aur bolta hai.

Jagga- Lagta hai apne boyfriend ko bula rahi hai mujhko pitwane ke liye. zara main bhi to dekhun kaun sala mard paida ho gaya jo jaaga ko chuu bhi sake.

Radhika- phone par baat karte hue – hello sir mujhe ek jaaga naam ka aadmi pareshan kar raha hai aur bahut batadmizi se pesh aa raha hai. radhika aab tak jo baatein hoti hai wo puri baat bata deti hai aur kuch apne taraf se bhi namak mirchi laga kar jod deti hai.
udher se awaaz aati hai kya wo aadmi abhi bhi aapke paas khada hai. radhika ha mein jawab deti hain. udhar se awaz aati hain zara madam please phone use dijiyega. main usse zara baat karta hoon .

Comments

Scroll To Top