Bahu Rangeeli, Sasur Rangeela – Part 1

bababoy 2017-10-03 Comments

Komal – Main poocchne waali thhi, par darr gayi.

Nandlal – Tu darr gayi. Aur yahaan main dost ki tarah tujhse baat kar raha hoon. Baat karoon ya nahin.

Komal – Sorry babuji.

Nandlal – Dosti mein no sorry no thank you. Chal bataata hoon. Teri saasuma mujhse poora khul gayi, aur main usse. Hum ek dusre se kuch bhi baat karte, mera matlab hai pati patni ke sambandh ko leke.

Komal thoda sharmaayi.

Nandlal – Dekh sharma mat. Ab tu bhi shaadi shuda hai. Yeh sab samajh sakti hai. Hai na.

Komal ne haan mein sar hila diya. Ye kahani aap desi kahani dot net par padh rhe hai.

Nandlal – Dekh, jab nayi nayi shaadi hoti hai na, toh pehle ek saal bahut attraction rehta hai, phir dheere dheere bacchhe hotein hain, aur phir itni zimmedaariyaan badh jaati hai ke pati patni bas apne apne kirdaar nibhaatein hain. Rishte mein badlaav aata hai, joh pati patni ek dusre ke badan ke deewaane thhe, kuch saal baad ek dusre ko haath tak nahin lagaate. Tu ne bhi dekha hoga yeh.

Komal – haan.

Nandlal – Kahaan?

Komal – Apne hi ghar mein babuji. Pitaji hamesha maa ko daant te hi rehtein hain, aur maa bhi unse hamesha naaraaz rehti hai.

Nandlal – Dekha, tu ne yeh sab itne kareeb se dekha, aur tu hi nahin samajh paa rahi hai.

Komal – Babuji please khul ke bataaiyye na aap aur maa ne kya kiya.

Nandlal muskuraaye aur Komal ki taraf dekha.

Nandlal – Sun paayegi.

Komal – Aap ne hi kaha hum dost hain.

Nandlal muskuraaye phirse uski baat pe.

Nandlal – Hum ne hamaari sex life khol di.

Komal – Matlab?

Nandlal – Matlab teri saas ne mujhe chhoot de di aur maine use.

Komal – Babuji. Yeh. Yeh. Aap kya keh rahein hain. ?

Nandlal – Sach bata raha hoon bahu. Jab ek pati patni yeh maan ke chaltein hain ke unhein kuch baandh raha nahin hai, toh woh ek dusre ke aur kareeb aa jaatein hain. Maine aur teri saas ne aisa hi kiya.

Komal – Maltab aap dono kisi aur ke saath.

Nandlal – Kisi aur ke saath nahin, bahuton ke saath kiya.

Komal – Babuji? Par isse aap dono kareeb kaise aaye.

Nandlal – Kareeb bhi aaye aur enjoy bhi karne lage ke hum dusron ki tarah ek khush haal shaadi ka dhong nahin karte. Sahi mein khush rehtein hain.

Dekh beta jab tak ek insaan ka badan khush hai na, uska dimaag khush rehta hai. Jis din shaadi mein sex bund ho gaya, samajh lena shaadi khatam. Aur ek insaan ke saath, tum kitne saal sex enjoy kar sakte ho. Ek. Do. Pata nahin kitne.

Komal – Babuji mujhe yakeen hi nahin ho raha hai.

Nandlal – Ab uska koi ilaaj nahin hai bahu mere paas.

Komal – Par main kya karoon babuji. Mera problem hal kaise hoga.

Nandlal – Tere tension na lene se. Umesh tujhe khush rakhta hai na.

Komal ne haan mein sar hila diya.

Nandlal – Toh acchha hai. Aur jab tak khush rakhta hai, tu reh. Aur nahin rakh paaya toh bhi udaas mat ho, yeh mat keh ke main maayke jaana chaahti hoon, usse kuch hal nahin hota. Tu baat kar Umesh se, agar baat wahaan tak pahunchi toh. Use poocchh ke woh baahar enjoy karna chaahta hai toh use chhoot de. Aur agar tujhe problem nahin hai toh tub hi kar. Ya phir mere aur tere saas jaise, dono enjoy karo saath mein kisi aur ke saath. Par har haalat mein tension na lo aur apne badan ko santusht rakkho. Dimaag theek rahega.

Komal – Babuji. Aap ko lagta hai Umesh iske liye.

Nandlal – Arre woh toh khush ho jaayega. Par dekh bahu, yeh un logon ke liye hai joh ise handle kar saktein hain, sab ke liye nahin. Ismein darr bhi rehta hai.

Komal – Main jaanti hoon babuji. Do dhaari talwaar hai.

Nandlal – Ab ki na samajh daari waali baat. Dekh abhi tu Umesh se jhagad mat. Agar woh Mumbai jaa raha hai, toh acchhe se, muskuraake bhej use, aur uske aane ke baad bhi kuch poocchh mat. Sawaal shaadi ke liye acchhe nahin hote. Aur sach chhupta nahin hai. Tu aurat hai, tu aasaani se pakad legi agar kuch gadbad hai toh.

Komal uski baatein dhyaan se sun rahi thhi.

Nandlal – Aur Umesh mera beta hai. College mein uski koi girl friend nahin thhi. Woh jaan boojh ke apni shaadi ko kharaab nahin karega, aur maine Mumbai ko kareeb se dekha hai, wahaan naa chaahte huey bhi kuch aisi baatein karna padhti hai. Woh kisi se pyaar nahin karega, pyaar toh tujhse hi karega. Mera yakeen kar. Aur tu apne aap ko kum mat samajh. Mumbai ki kisi ladki se tu kum nahin hai.

Komal halka sa muskura deti hai.

Komal – Aapne pehle mujhse baat kyun nahin ki babuji. Aaj aapse baat karke zindagi aasaan lagne lagi hai.

Nandlal – Zindagi ko bhaav mat de Bahu. Use apni jagah pe rakh. Tab maza aayega. Samjhi.

Komal ne muskuraake haan mein sar hila diya.

Nandlal – Ab chai peene ka bada mann kar raha hai.

Komal – Mujhe bhi. Main banaati hoon. Abhi laayi.

Komal utthi aur palti, pehli baar Nandlal ne uski kamar aur uska badan itne gaur se dekha thha, use acchha laga.

[email protected]

What did you think of this story??

Comments

Scroll To Top